Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Tuesday, 29 December 2009

koi hum nafas .....

I would recommend everyone to watch this Ghazal at least once.



http://www.youtube.com/watch?v=DV8zAjjcjNI&feature=related

Saturday, 28 February 2009

ek baar muskura do........... on You Tube

Here is the Ghazal ........ek baar muskura do............





tumhain hi sochta hun main......dedicated to my loving wife


mujhay ek baat kehni thi, tumhain itna bataana tha
ke meri zindagi ho tum, tumhain hi sochta hun main

buhat masroof rehta hon, buhat say kaam hain mujh ko
magar tum say nahin ghafil, tumhain hi sochta hun main

buhat say log miltay thay, magar jab say tumhain dekha
na janay kya hua mujh ko, tumhain hi soochta hun main

mujhay auroon say kya lena, mera logoon say kya rishta
meri duniya ho tum hi tum, tumhain hi soochta hun main

nigahoon main basi ho tum, khayaloon main samai ho
sukoon-e-dil ho tum mera, tumhian hi soochta hun main

buhat mushkil hai ye jeena, tumharae bin mera rehna
ke meri saans main ho tum, tumhain hi sochta hun main

kabhi tanhai main baitho, agar tanhai main tum ho
toh itna yaad kar lena , tumhain hi soochta hun main....

ik baar muskura do.......

If any one want to know what is real and authentic Ghazal.............here it is...........(this style is of NWFP which is in Pakistan now)


ik baar muskura do..
afasana_e_chaman ka..
unwaan he badal do..
phoolon ka sar kuchal do,,
kaliyon ka sar masal do..
aakaash ki jawani..
badal main mounh chupaae..
mahtaab doob jaay..
taaro ko neend aay..
zohra jabeen pari rukh..
tamseel_e_maah_o_ anjum..
aankhain sharaab aaheen..
jazbaat main talatum..
helti huwi labo par..
hansta huwa tarana..
a dill nawaz paiker..
khatir main hai zamana..
lab hay ehmaree par..
nikhree huwi hai laali..
yeh halki halki surkhi..
tasveer hai shafaq ki..
awara sokh zolfain..
rukhsaar choomti hain..
bekhud hain goomti hain..
ho zeest ka sahara..
tum mauj main kinara..
laiken suno khudara..
ik baar muskura do..

ik nojawan musafir,,
fetrat ka laa ubaali..
ik aalam_e_junoon main..
ik samt ja raha tha..
jaisay k apnay dhun main..
parbat pe chad raha tha..
zulfain k muntashir thi..
chehray say musmahel tha..
nazrain k raah pe thi..
kitna shikast dill tha..
maazi ki dhunlako main..
ik akss paa raha tha..
guzra huwa zamana..
phir yaad aa raha tha..
armaan tarap rahay thay..
hasrat machal rahi thi..
betaab zindagaani karwat badal rahi thi..
ik baar muskura do....