Saturday, 28 February 2009

tumhain hi sochta hun main......dedicated to my loving wife


mujhay ek baat kehni thi, tumhain itna bataana tha
ke meri zindagi ho tum, tumhain hi sochta hun main

buhat masroof rehta hon, buhat say kaam hain mujh ko
magar tum say nahin ghafil, tumhain hi sochta hun main

buhat say log miltay thay, magar jab say tumhain dekha
na janay kya hua mujh ko, tumhain hi soochta hun main

mujhay auroon say kya lena, mera logoon say kya rishta
meri duniya ho tum hi tum, tumhain hi soochta hun main

nigahoon main basi ho tum, khayaloon main samai ho
sukoon-e-dil ho tum mera, tumhian hi soochta hun main

buhat mushkil hai ye jeena, tumharae bin mera rehna
ke meri saans main ho tum, tumhain hi sochta hun main

kabhi tanhai main baitho, agar tanhai main tum ho
toh itna yaad kar lena , tumhain hi soochta hun main....

No comments:

Post a Comment